Urdu Poetry: Khulegi iss nazar pe chashm-e-tar aahista-aahista



Khulegi iss nazar pe chashm-e-tar aahista-aahista
kiya jaata hai paani mein safar aahista-aahista

koi zanjeer phir waapas wahee’n par le ke aati hai
kathin ho raah to chhoot’ta hai ghar aahista-aahista
badal dena hai rasta ya kahee’n par baith jaana hai
ki thakta jaa raha hai humsafar aahista-aahista

khalish ke saath iss dil se na meri jaan nikal jaaye
khinche teer-e-shanaasaai magar aahista-aahista

hua hai sarkashi mein phool ka apna ziyaa’n dekha
so jhukta jaa raha hai ab ye sar aahista-aahista

meri shola mijaazi ko wo jangal kaise raas aaye
hawa bhi saans letii ho jidhar aahista-aahista.

[PARVEEN SHAKIR]

Sent By: Imran from Orkut Community



About the Author

Leave a Reply