Urdu Poetry: Main to aawara shaayar hoon meri kyaa vaqa’at By Ahmed Faraz
Main to aawara shaayar hoon meri kyaa vaqa’at
ek do geet pareshan se gaa leta hoon
gahe-gahe kisi naakaam sharaabi ki tarah
ek do zehar ke saagar bhi chadha leta hoon
tu ke ek waadi-e-gulrang ki shehzaadi hai
ek bekaar se insaan ke liye vaqf na ho
tere khwaabo’n ke jazeero’n mein badi raunaq hai
ek anjaan se toofaan ke liye vaqf na ho.
Poet: Ahmed Faraz





