Urdu Poetry: Misl-e-khayaal aaye thhey aakar chale gaye By Fani Badayuni
Misl-e-khayaal aaye thhey aakar chale gaye
duniya hamaari gham ki basa kar chale gaye
phoolo’n ki aas dil se lagaaye hue thhey hum
kaante wo raaste mein bichha kar chale gaye
aayee na thi hamaare chaman mein bahaar abhi
wo khwaab aashiyaa’n mein laga kar chale gaye
bhoole se bhi kabhi na dil hum bhula sake
dil se hamein wo apne bhula kar chale gaye.
Poet: FANI BADAYUNI





