Urdu Poetry: mujhe apna sitaara dhondna hai
Sitaaro’n se bhare uss aasman ki vusa’ton mein
mujhe apna sitaara dhondna hai
falaq par kehkasha’n dar kehkasha’n ki bekarani hai
na iss ka naam hai maloom, na koi nishani hai
bas itna yaad hai mujhko
azal ki subha jab sare sitaare
alvidayee guftagu karte hue rasto’n pe nikle thhey
to uski ankh mein ek taara jhilmilaaya tha
usee taare ki soorat ka
meri bheegi-bheegi ankho’n mein bhi ek khawaab rehta hai
main apne aansuo’n mein, apne khwaabo’n ko sajaata hoon
aur uss ki raah takta hoon
suna hai gumshuda cheezein
jahaan par khoee jaati hain
wahee’n se mil bhi jaati hain
mujhe apna sitaara dhoondna hai…
Poet: Amjad Islam Amjad
Sent By: Ahad-e-Awargi





