Urdu Poetry: Na jee bhar ke dekha na kuch baat ki

Na jee bhar ke dekha na kuch baat ki,
Bari aarzoo thee mulaaqat ki.

Shab-e-hijir tak ye tashweesh hai,
Musaafir ne jaane kahan raat ki.!!

Muaqaddar meri chashm pur aab k,
Barasti huee raat barsaat ki.

Ujaalon ki paryan nahaane lagein,
Naddi gungunayi khayaalat ki.

Main chup tha to chalti hawa ruk gayi,
Zabaan’ sab samajhte hain jazbaat ki.

Kayee saal se kuch khabar hi nahin,
Kahan din guzaara kahan raat ki..!?

About the Author

BaQir Bukhari

Leave a Reply