Urdu Poetry: Na rava kahiye na saza kahiye
Na rava kahiye na saza kahiye
kahiye kahiye mujhe bura kahiye
dil mein rakhne ki baat hai gham-e-ishq
iss ko hargiz na barmala kahiye
wo mujhe qatl kar ke kehte hain
maanta hi na tha ye kya kahiye
aa gaee aap ko masihaaee
marne waalo’n ko marhaba kahiye
hosh udne lage raqeebo’n ke
“Daag” ko aur bewafa kahiye.
Poet: Daagh Dehlvi
Sent By: Ahad-e-Awargi





