Urdu Poetry: Raaz-e ulfat chhupa k dekh liya By Faiz Ahmed Faiz
Raaz-e ulfat chhupa k dekh liya,
Dil buhat kuch jala k dekh liya.
Aur kya dekhne ko baaqi hai?
Aap se dil laga k dekh liyaa.
Wo mere hoke bhi mere na hue,
Un ko apna bana k dekh liyaa.
Aaj un ki nazar main kuch humne,
Sab ki nazrain bacha k dekh liyaa.
Aas us dar se toot’ti hi nahin,
Ja k dekha, na ja k dekh liyaa.
‘Faiz’, taqmeel-e gham bhi ho na saki,
Ishq ko aazmaa k dekh liyaa.
Poet: Faiz Ahmed Faiz





