Urdu Poetry: Rett par likh ke mera naam mitaaya na karo
Rett par likh ke mera naam mitaaya na karo
aankhen sach bolti hain pyaar chupaaya na karo
log har baat ka afsaana bana lete hain
sab ko haalaat ki rudaad sunaaya na karo
ye zaroori nahi’n har shakhs maseeha hi ho
pyaar ke zakhm amaanat hain dikhaaya na karo
shehar-e-ehsaas mein pathraav bahot hain ‘Mohsin’
dil ko sheeshe ke jharonkho’n mein sajaaya na karo.
Poet: Mohsin Naqvi
Sent By: Imran





