Urdu Poetry: Shaayad Aa Jayega Saaqi Ko Taras Ab Ke Baras
Shaayad Aa Jayega Saaqi Ko Taras Ab Ke Baras.
Mil Na Paya Hai Un Aankhon Ka Bhi Ras Ab Ke Baras.
Aisi Chhayi Thi Kahan Gham Ki Ghatayein Pahele.
Haan Mere Deedar-E Tar Khoob Baras, Ab Ke Baras.
Uff Wo Un Mad Bhari Aankhon Ke Chhalakte Huye Jaam.
Badh Gayi Aur Bhi Peene Ki Lalak Ab Ke Basar.
Pahele Ye Kab Tha Ke Wo Mere Hain Main Unka Hoon.
Unki Yaadon Ne Sataaya Hai To Bas Ab Ke Baras.





