Urdu Poetry: Taskeen-e-dil-e-mehzu’n na huee, wo saee-e-karam farma bhi gaye By Majaaz Lakhnavi
Taskeen-e-dil-e-mehzu’n na huee, wo saee-e-karam farma bhi gaye
iss saee-e-karam ko kya kahiye, behla bhi gaye, tadpa bhi gaye
hum arz-e-wafa bhi kar na sake, kuch keh na sake, kuch sun na sake
yaa’n hamne zabaa’n hi kholi thi, waa’n aankh jhuki, sharma bhi gaye
aashuftagi-e-vehshat ki kasam, hairat ki kasam, hasrat ki kasam
ab aap kahein kuch ya na kahein, hum raaz-e-tabassum pa bhi gaye
rudaad-e-gham-e-ulfat unse hum kya karte, kyonkar kehte
ek harf na nikla hontho’n se, aur aankh mein aansu aa bhi gaye
arbaab-e-junoo’n par furqat mein ab kya kahiye kya-kya guzri
aaye thhey savaad-e-ulfat mein, kuch kho bhi gaye, kuch paa bhi gaye
ye rang-e-bahaar-eaalam hai, kyun fiqr hai tujhko ae saaqi !
mehfil to teri sooni na huee, kuch uth bhi gaye, kuch aa bhi gaye
iss mehfil-e-kaif-o-masti mein, uss anjuman-e-irfaani mein
sab jaam-ba-kaf baithe hi rahe, hum pee bhi gaye, chalka bhi gaye.
Poet: MAJAAZ LAKHNAVI





