Urdu Poetry: Tum pareshaa’n na ho baab-e-karam waa na karo By Kaifi Azmi
Tum pareshaa’n na ho baab-e-karam waa na karo
aur kuch derr pukaarunga chala jaaunga
isee kooche mein jahaan chaand ugaa karte thhey
shab-e-tareek guzarunga chala jaaunga
raasta bhool gaya ya yahaa’n manzil hai meri
koi layaa hai ya khud yahaa’n aaya hoon ye maloom nahi
kehte hain nazrein bhi hasee’n hoti hain
main bhi kuch laaya hoon kya laaya maloom nahi
yoon to jo kuch tha mere paas main sab kuch bech aaya
kahee’n inaam mila aur kahee’n qeemat bhi nahi
kuch tumhare liye aankhon mein chhupa rakha hai
dekh lo aur na dekho to shikayat bhi nahi’n
phir bhi ek raat mein sau tarah ke modd aate hain
kaash tum ko kabhi tanhaai ka ehsaas na ho
kaash aisa na ho gair-e-raah-e-duniya tum ko
aur iss tarah ki jis tarah koi paas na ho
aaj ki raat jo meri tarah tanha hai
main kisi tarah guzarunga chala jaaunga
tum pareshaa’n na ho baab-e-karam waa na karo
aur kuch derr pukaarunga chala jaaunga.
Poet: Kaifi Azmi





