Urdu Poetry: Udaasiyon ka ye mousam badal bhi sakta tha By Mohsin Naqvi



Udaasiyon ka ye mousam badal bhi sakta tha,
Wo chahta to mere saath chal bhi sakta tha.

Wo Shakhs tu ne jisay chhorne maiin jaldi ki,
Tere mizaaj k saanche main dhal bhi sakta tha.

Wo jald-baaz khafa ho k chal diyaa warna,
Tanaaziaat ka koi hall nikal bhi sakta tha.

Anna ne haath uthaane nahin diyaa warna,
Meri duaa se wo pathar pighal bhi sakta tha.

Tamaam umar tera muntazir raha Mohsin’
Ye aur baat k wo rastaa badal bhi sakta tha.

Peot: Mohsin Naqvi



About the Author

Leave a Reply