Urdu Poetry: Yaad kerna her ghari os yaar ka By Wali Dakni
Yaad kerna her ghari os yaar ka
Hai wazeefa mujh dil-e-bimar ka
Aarzo-e-chashma-e-koser nahi
Tishna lab hoon sharbat-e-deedar ka
Aaqbat kya howey ga? maloom nahi
Dil howa hai mubtala deedar ka
Kya kahey tareef dil hai be nazeer
Herf herf os makhzan-e-israr ka
Ger howa hai taalib-e-aazadgi
Banda mat ho sitjah-e-zanar ka
Meend-e-gul manzil-e-shabnam howi
Dekh rutba deeda-e-bedaar ka
Aey wali hona sari jin per nisaar
Mud’aa hai chashm-e-goher baar ka
Poet: Wali Dakni






